About cookies
Cookies aamtaur pe flour,sugar,salt,aur butter se milker banane wala eak prakar ka dessert category ka food hai. Jiska Aakar chota patla aur meetha hota hai. Esko banane me oats , dryfruit, coconut powder , choco chip ,Jaisi cheeze daalker tarah tarah flavour ke cookies banaye jate hai.
United States and Canada ko chodkar adhiktar english countries me isko biscuit ke naame se jana jata hai, cookies ko tarah tarah aakar ka banaya jata hai. Cookies aaj ke samay me bade paimane pe factory me banaye ja rahe hai ,lekin locol bakery me me fresh tazze cookies mil jayenge, Cookies ko eak baar bana ke kafi din tak tak store kiya ja sakta hai. Traveling ke dauran cookies kafi kaam aata hai.
Cookies sabse pahle 7th century AD me persia me banaya gya tha. 14 century tak cookies Spain ke muslim Vijay ke madhayam se urope me ja chuka tha. Cookies America me 1620 ke aas pass aaya tha, Lekin abhi jaisa cookies banaya jata hai waisa cookies pahle na banta tha.
Cookies kai prakar ka hota hai jaise Bar cookies, Drop cookies, filled cookies, molded cookies, No bake cookies, pressed cookies, Refrigation cookies, Roller cookies, sandwich cookies etc.
Country of origin:- Persia
Baking temperature:- 170⁰c
Baking timing:- 20-30 minutes
Ingredients:- Unsalted butter, castor sugar, milk powder, flour ,baking powder, baking soda, milk, coconut powder.
Recipe:-
Unsalted butter:- 1000gm
Castor sugar:-. 1000 gm
Milk powder:-. 160 gm
Flour:- 1600 gm
Baking powder:- 1tsp
Baking soda:- 1/2 TSP
Milk:- 50 ml
Coconut powder:- 250+150 gm
Process of making:- In Hindi
Step1:- Sabse pahle butter aur castor sugar ko planetary mixer me daalke beat karenge jab tak sugar melt na ho jaye .
Step2:-Ab eak bowl lenge usme milk powder, flour, baking powder, baking soda, aur 250 gm coconut le aur en sari cheezo ko butter sugar wale mixture me daaal ke medium speed pe mix ker lenge .
Step3:- milk ko aavsakta anusar dale .
Step4:- Ab Dough ka 16-20 gm tak ka gola bana le , phir dudh me daale, phir coconut powder me daale phir chapta ya apne anusar shape de.
Step5:- Preheated oven me 170⁰c pe 25-30 minutes bake kare .
Note :- cookies ko thanda ker ke band dabbo me bharker store kare ..
Process of making:- In English
Step1:- First beat castor sugar and butter in stand mixer or planetary mixer , until sugar melt.
Step2:- In a bowl take milk powder, flour, baking powder, baking soda and 250 coconut powder and mix in butter mixture little by little on medium speed.
Step3:- Use milk as required..
Step4:- Make 16-20 gm of round , and dipped into milk and put in oats and give a shape .
Step5:- Bake in preheated oven at 170⁰ for 25-30 minutes.
Note:- Store cookies in closed boxes.